Jab maine pehli baar Jannat Kay Pattay uthaya, to mujhe laga ye sirf ek aam sa love story wala novel hoga. Lekin jab maine isko parhna shuru kiya, to main Haya Suleman ki duniya mein kho gayi. Nimra Ahmed ne is novel mein aisi jadooi kahani likhi hai ke aap isko chor hi nahi sakte. Ye sirf ek novel nahi hai, ye har us ladki ki kahani hai jo apni zindagi mein kuch dhoondh rahi hai.
Ye kahani hai Haya Suleman ki. Ek aisi ladki jo bilkul aaj kal ki ladkiyon jaisi hai. Ziddi, shararti, aur apni marzi karne wali. Haya ko lagta hai ke zindagi sirf mauj masti ka naam hai. Lekin uski zindagi tab badalti hai jab usay ek scholarship milti hai aur wo Istanbul, Turkey chali jaati hai. Istanbul mein uski zindagi ka sab se bada raaz khulta hai aur uski zindagi hamesha ke liye badal jaati hai.
Ye Novel Aap Ko Kya Sikhata Hai?
Ye novel aap ko sikhata hai ke haya (sharm) koi kamzori nahi hai, balke aap ki sab se badi taqat hai. Aaj kal har ladki ko lagta hai ke modern banne ke liye apni riwayaat ko chhorna zaroori hai. Lekin Haya Suleman humein sikhati hai ke aap modern bhi reh sakte hain aur apne deen se bhi jure reh sakte hain. Hijab sirf ek kapda nahi hai, ye aap ki pehchan hai, aap ka tahafuz hai. Is novel ne mujhe sikhaya hai ke jab aap Allah ke liye kuch chorte hain, to Allah aap ko us se behtar deta hai.
Haya Aur DJ Ki Dosti
Haya Suleman aur DJ (Khadija Rana) ki dosti novel Jannat Kay Pattay ka sab se khoobsurat aur mukhlis hissa hai. Pakistan se Turkey tak ka safar dono ne aik doosre ke sahare tay kiya, jahan naye mahaul aur mushkilat mein unho ne hamesha aik doosre ki dhaal ban kar sath nibhaya. DJ na sirf Haya ki sachi dost thi balkay har dukh sukh ki saathi aur hamesha mazaq-masti se mahaul ko khushgawar banaye rakhne wali shakhsiyat thi. Unka ye mukhlis aur jazbati rishta qariyen ke dilon ko chhoo leta hai, aur yahi wajah hai ke novel ke aakhri hissay mein DJ ki maut ka saniha Haya ke sath sath har parhne wale ko bhi khoon ke aansu rula deta hai.

Istanbul - Teesra Kirdar
Is novel mein Istanbul sirf ek sheher nahi hai, balke teesra main kirdar hai. Jab aap ye novel parhte hain to aap ko lagta hai jaise aap khud Istanbul ki galiyon mein ghoom rahe hain. Taksim Square ki ronaq, Grand Bazaar ki khushbu, Bosphorus ke kinare ki hawa, aur Neeli Masjid (Blue Mosque) ka sukoon... Nimra Ahmed ne Istanbul ko itni khoobsurti se likha hai ke har ladki ka dil chahta hai ke kaash wo bhi ek baar Haya ki tarah Istanbul jaye. Istanbul ki thand aur wahan ki chai (Turkish Tea) ka zikr parh kar aisa lagta hai jaise hum khud wahan mojood hain. Yehi to is novel ka jadoo hai ke wo aap ko Pakistan se utha kar Turkey le jata hai. Istanbul ki har gali mein Haya ki yaadein hain.

Jihan Sikandar - Asal Mard Kaise Hota Hai?
Aaj kal ke novels mein hero ko sirf ameer aur handsome dikhaya jata hai, lekin Jihan Sikandar mukhtalif hai. Jihan Sikandar ka pyaar dikhawa nahi hai, uska pyaar izzat hai. Wo Haya se kehta hai ke tum apne aap ko dhanko, kyunki tum qeemti ho. Wo Haya ko force nahi karta, balke usay samjhata hai. Wo usay tahafuz deta hai, us waqt jab Haya par jhoote ilzamat lagte hain. Jihan ka kirdar har ladki ko ye sabaq deta hai ke asal mard wo nahi jo aap ko be-parda kare, asal mard wo hai jo aap ko ba-parda karke zamane ki buri nazron se bachaye. Jihan aur Haya ka nikah, jo unke bachpan mein ho chuka tha, is baat ki daleel hai ke Allah ne jo rishte likhe hote hain, wo mil kar hi rehte hain chahe duniya idhar se udhar ho jaye.
Meri Zindagi Kaise Badli?
Jab maine ye novel parhna shuru kiya to main bhi Haya jaisi hi thi, har cheez ko lightly lene wali. Lekin jese jese maine Haya ka safar parha, mujhe ehsaas hua ke humein apni choti choti khushiyon mein Allah ko yaad rakhna chahiye. Haya jab takleef mein hoti hai to wo namaz parhti hai, dua karti hai. Usne mujhe sikhaya ke jab duniya aap ka saath chor de, to Allah ka darwaza hamesha khula hota hai. Is novel ne mujhe hijab ki ahmiyat sikhayi. Pehle mujhe lagta tha hijab sirf ek kapra hai, lekin ab mujhe samajh aaya hai ke hijab ek ehsaas hai, ek tahafuz hai. Ab main jab bhi bahar jaati hun to mujhe Haya yaad aati hai.
To agar aap abhi tak soch rahe hain ke ye novel parhna chahiye ya nahi, to mera jawab hai, haan, zaroor parhein. Ye sirf ek kahani nahi hai, ye aap ki zindagi badal dega. Agar aap ek aisi kahani dhoondh rahe hain jo aap ko hasaye bhi, rulaye bhi, aur aap ko Allah ke qareeb bhi le aaye, to Jannat Kay Pattay se behtar koi novel nahi hai.
Aakhri Baat - Kyun Ye Novel Har Dil Mein Rehta Hai?
Jannat Kay Pattay ki sab se bari khasiyat ye hai ke ye aap ko bore nahi hone deta. Har page par ek naya raaz, ek naya twist hota hai. Kabhi aap Haya par hanste hain, to kabhi uske saath rote hain. Nimra Ahmed ne har kirdar ko itni mehnat se likha hai ke wo zinda lagte hain. Major Ahmed, Bahare, DJ aur Jihan... har koi apni jagah important hai. Ye novel humein ye bhi sikhata hai ke zindagi mein mushkilat aati hain, lekin agar aap ka yaqeen Allah par mazboot hai, to aap har mushkil se nikal sakte hain. Isi liye aaj 10 saal baad bhi ye novel Pakistan ka number 1 novel hai. Log abhi bhi isko parh rahe hain, is par baat kar rahe hain aur is se seekh rahe hain ke asal kamyabi Allah ke qareeb hone mein hai.









Comments 0
Sign in to join the conversation.
No comments yet. Be the first to say something.