> Har larki chahti hai ke uski zindagi achhi ho, uski sehat achhi ho, uska ghar khush ho aur wo roz kuch naya seekhe. Lekin aksar hum ye sochte hain ke achhi zindagi ke liye bohat paisa chahiye, bara ghar chahiye ya bahar ja kar kaam karna chahiye. Asal me aisa nahi hai. Achhi zindagi chhoti chhoti aadat se banti hai. Agar hum apni roz ki zindagi me sirf paanch aasan aadatain shamil kar len to hamari health bhi behtar hogi, hamari education bhi behtar hogi aur hamara lifestyle bhi khushgawar ho jayega.
>
> 1. Subah Jaldi Uthna
>
> Pehli aadat hai subah jaldi uthna. Aaj kal zyada tar larkiyan der tak mobile dekhti hain aur subah der se uthti hain. Is se pura din susti me guzarta hai. Jo larki subah jaldi uthti hai, usko din me zyada waqt milta hai. Subah uth kar pehle pani peena chahiye. Pani hamare jism ko saaf karta hai aur dimagh ko taaza karta hai. Uske baad thori der khuli hawa me chalna chahiye. Chalne se jism me taqat aati hai aur dil ko sukoon milta hai. Namaz parhna bhi subah ki behtareen aadat hai. Is se dil ko itmenan milta hai aur din ki shuruaat achhi hoti hai. Agar hum subah ka ek ghanta apne liye rakh len to pura din aasan ho jata hai.
>
> 2. Saaf Suthra Aur Saada Khana
>
> Doosri aadat hai saaf suthra aur saada khana. Hamari sehat ka sab se bara raaz hamara khana hai. Aaj kal bahar ka khana, chips, cold drink aur zyada meetha khana aam ho gaya hai. Ye cheezain maza to deti hain lekin sehat ko ahista ahista kharab karti hain. Ghar ka bana hua saada khana sab se behtar hai. Daal, sabzi, roti, anda, doodh aur phal hamare jism ke liye bohat achhe hain. Rozana ek phal zaroor khana chahiye. Pani zyada peena chahiye. Kam se kam aath glass pani peena sehat ke liye zaroori hai. Jab hum achha khate hain to hamara chehra bhi saaf rehta hai, baal bhi mazboot rehte hain aur hum bemar bhi kam parte hain. Sehatmand larki hi apne ghar ko achhi tarah sambhal sakti hai aur parhai me bhi dil laga sakti hai.
>

>3.Mobile Ka Sahi Istemal Aur Roz Kuch Naya Seekhna
>
> Teesri aadat hai mobile ka sahi istemal aur roz kuch naya seekhna. Mobile hamari zindagi ka hissa ban gaya hai. Iska sahi istemal hamari education ko behtar bana sakta hai aur ghalat istemal hamara waqt zaya kar sakta hai. Agar hum ghanton sirf video dekhte rahen to aankhen dukhengi, sir dard hoga aur dil bhi bechain hoga. Is ke bajaye humein mobile se kuch seekhna chahiye. Roz aadha ghanta koi achhi kitaab parhna, koi acha article parhna ya koi naya hunar seekhna hamari soch ko bara karta hai. Jaise likhna seekhna, silai seekhna, cooking seekhna ya angrezi ke naye lafz seekhna. Education sirf school ya college tak mehdood nahi hai. Asal education wo hai jo hum roz ki zindagi se seekhte hain. Jo larki roz thora thora seekhti hai, wo ek saal baad bohat aage nikal jati.
>4.Mobile Ka Sahi Istemal Aur Roz Kuch Naya Seekhna
>
> Chauthi aadat hai ghar walon ke saath waqt guzarna aur achhe rishtay banana. Hamara lifestyle sirf kapron aur cheezon se nahi banta, wo hamare rishton se banta hai. Aaj kal har koi apne mobile me masroof hai, ghar me beth kar bhi ek doosre se baat nahi karta. Is se ghar me doori aa jati hai. Humein roz thora waqt apni ami, abu, behan aur bhai ke saath guzarna chahiye. Unse baat karna, unki baat sunna aur unki madad karna dil ko khush karta hai. Jab hum ghar me pyaar aur izzat se rehte hain to hamara dil halka rehta hai. Ghar ka sukoon hi hamari asal kamyabi hai. Agar ghar me sukoon hai to hum bahar bhi khush rehte hain aur har kaam me dil lagta hai.
>

> 5. Shukr Karna Aur Khud Ka Khayal Rakhna
>
> Paanchvi aur sab se ahem aadat hai shukr karna aur khud ka khayal rakhna. Aaj kal hum doosron ko dekh kar apni zindagi se naraz ho jate hain. Kisi ke paas acha mobile hai, kisi ke paas achhe kapre hain, to hum sochte hain hamare paas kuch nahi. Ye soch hamari khushi ko khatam kar deti hai. Is ke bajaye humein roz raat ko sone se pehle teen cheezon ka shukr karna chahiye jo Allah ne humein di hain. Jaise sehat, ghar, maa baap, khana aur neend. Shukr karne se dil me sukoon aata hai aur neend bhi achhi aati hai. Neend hamari sehat ke liye bohat zaroori hai. Roz saat se aath ghantay ki neend leni chahiye. Kam neend se chehra kharab hota hai aur dimagh bhi kaam nahi karta. Apne aap ko waqt dena bhi zaroori hai. Roz das minute khamoshi me bethna, apne din ke bare me sochna aur kal ke liye ek chhota sa plan banana hamari zindagi ko behtar banata hai.
> *Akhri BAAT*
>
> Aakhir me bas yehi kehna hai ke bari tabdeeli ke liye bare qadam nahi chahiye. Chhoti chhoti achhi aadatain hi hamari zindagi ko sehatmand, khushgawar aur kamyab banati hain. Agar hum aaj se hi in paanch aadat me se ek aadat shuru karen to ek mahine baad hum khud me farq mehsoos karenge. Sehatmand jism, achhi education aur khushgawar lifestyle hi asal dolat hai. Apne waqt ki qadar karen, apni sehat ka khayal rakhen aur roz kuch naya seekhen. Aaj ka chhota sa qadam kal ki bari kamyabi ban sakta hai.Aak Sehatmand zindagi ke liye humein koi bari mehnat nahi karni hoti. Bas roz ke chhote chhote kaam hi hamari zindagi ko behtar bana dete hain. Agar hum subah jaldi uthna, saaf khana khana, thori si walk karna, ghar walon ke saath waqt guzarna aur raat ko jaldi sona apni aadat bana lein, to hamari sehat bhi achhi rahegi aur dil ko bhi sukoon milega. Aaj se hi in aasan aadatain ko apnane ki koshish karein, kyunke sehat hi asal daulat ha.sehat hi asal daulat ha.









Comments 0
Sign in to join the conversation.
No comments yet. Be the first to say something.