Kabhi aap ne ghaur kiya hai? Wo larki jo subha has rahi thi, bol rahi thi, shararatein kar rahi thi, shaam hote hi achanak khamosh ho jati hai. Kone me baith jati hai, mobile ko dekhti rehti hai, kisi se baat nahi karti. Maa kehti hai "nakhre kar rahi hai", bhai kehta hai "drama hai", abba kehte hain "isay kya hua hai?"
Lekin asal me usay hua kya hota hai? Koi nahi poochta. Aaj main aapko wo 5 sach bataungi jo har larki seh rahi hai, lekin kehti nahi hai. Ye sach kadwe hain, lekin yehi hamare gharon ka mahol kharab kar rahe hain.

Sach Number 1: Har Baat Par Tokna - Uthne Se Lene Sone Tak
Subha aankh khulte hi shuru ho jata hai. "Itni dair tak kyun soi ho?", "Nasta kyun nahi banaya?", "Itna time mobile pe kya karti ho?", "Bahir kyun ja rahi ho?", "Wapas kab ao gi?"
Ek larki din me taqreeban 40 se 50 baar toki jati hai. Research kehti hai ke agar kisi insan ko har 20 minute baad toka jaye, to uska dimaag khud ko mehfooz rakhne ke liye khamosh ho jata hai. Wo bolna band kar deta hai. Kyunki usay lagta hai, main bolungi to phir tok diya jayega, to behtar hai khamosh rahun.
Hamari larkiyan badtameez nahi hain, wo thak chuki hain. Har baat ka jawab dete dete, har tok ka hisaab dete dete wo khamoshi ko apna ghar bana leti hain.

Sach Number 2: Har Waqt Dusri Larkiyon Se Compare Karna
Ye sab se zehreela sach hai. "Dekho falani ki beti kitne ache number laayi hai", "Dekho uski shadi kitni achi jagah hui hai", "Dekho wo kitni samajhdar hai, ghar ka kaam kaise karti hai".
Jab aap apni beti ko, apni behen ko dusri larki se compare karte ho, to aap usay ye ehsaas dila rahe hote ho ke tum jaisi ho, waisi kaafi nahi ho. Tum me kami hai. Aur ye ehsaas ek larki ko andar se tod deta hai.
Wo sochti hai, main chahe jitni mehnat kar lun, main kabhi bhi "Sharma ji ki beti" jaisi nahi ban sakti. To phir koshish karne ka faida kya? Is soch ke saath wo khamosh ho jati hai. Uska confidence khatam ho jata hai. Wo apne khwab dekhna band kar deti hai.
Yaad rakhen, har larki alag hai. Kisi ka hunar mehndi me hai, kisi ka likhne me, kisi ka bolne me. Compare karna band karen, appreciate karna shuru karen.
Sach Number 3: Uske Khwabon Ka Mazak Urana
Ye wala sach sun ke aapko takleef hogi. Bohat si larkiyan mujhe message karti hain ke "Api, maine ammi ko kaha mujhe likhna hai, to ammi ne kaha ye fazool kaam chhor de, shaadi ki tayyari kar".
Kitne gharon me larki ke khwab ka mazak uraya jata hai. "Tu kya karegi parh ke?", "Tu kya kar legi paisa kama ke?", "Tum larkiyon ke bas ki baat nahi hai".
Jab ek larki apna khwab batati hai aur ghar wale hanste hain, to us khwab ke saath saath us larki ki bolne ki himmat bhi mar jati hai. Wo agle din se apna khwab kisi ko nahi batati. Wo khamoshi se apna khwab dil me dafan kar leti hai aur jo ghar wale kehte hain, wahi karti rehti hai.
Lekin andar hi andar wo ghut ti rehti hai. Aur ye ghutan hi usay khamosh bana deti hai.
Sach Number 4: Mobile Haath Me Lene Par Shak Karna
Aur ek aur sach jo aaj kal har larki seh rahi hai. Jaise hi larki mobile haath me leti hai, ghar me sab ki nazrein us par aa jati hain. "Kis se baat kar rahi ho?", "Itni raat ko mobile kyun use kar rahi ho?"
Ek larki ka mobile uski personal diary hota hai. Usme uske khwab hote hain, uski saheliyon se baatein hoti hain, uske chote chote khwab hote hain. Lekin ghar wale samajhte hain ke mobile ka matlab sirf kisi larke se baat karna hai.
Is shak ki wajah se larki mobile bhi chup chup ke use karti hai. Dar dar ke use karti hai. Aur ye dar hi usay andar se khamosh kar deta hai. Wo apne phone me bhi khul ke nahi jee pati.
Sach Number 5: "Log Kya Kahenge" Ka Zeher
Hamare Pakistan me, khaas taur par Hyderabad, Karachi, Lahore jaise shehron me bhi, larkiyon ki aadhi zindagi is jumle me guzar jati hai - "Log kya kahenge".
Kapre aise pehne to log kya kahenge, zor se hasi to log kya kahenge, raat ko bahir gayi to log kya kahenge, job ki to log kya kahenge.
Ek larki apni poori zindagi logon ke khayal ke mutabiq jeeti hai. Apni marzi se hans bhi nahi sakti. Apni marzi se ro bhi nahi sakti. Har qadam pe usay dar lagta hai ke kahin koi baat na ban jaye.
Jab insan apni marzi se jee na sake, to wo khamosh ho jata hai. Kyunki bolna bhi to apni marzi ka izhaar hai.

Aur ek aakhri sach jo sab se important hai -
Khamosh larki sab se zyada pyaar ki haqdaar hoti hai. Wo larki jo sab se zyada khamosh hai, asal me wo sab se zyada toot chuki hoti hai. Use ghussa nahi, pyaar chahiye. Use lecture nahi, ek gale lagana chahiye. Use taana nahi, ye sunna hai ke "Main tumhare saath hun". Agar aaj aap ye article parh rahe ho aur aap khud wo khamosh larki ho, to yaad rakho, tum akeli nahi ho. Lakhon larkiyan tumhare jaisa mehsoos karti hain. Tumhari khamoshi tumhari kamzori nahi, tumhari himmat hai ke tum itna sab seh ke bhi khari ho. Bas ek baar himmat karke bolna shuru karo, apne liye jeena shuru karo.
Meri aapse guzarish hai, agar aap maa hain, baap hain, bhai hain to aaj ja ke apni beti, behen se sirf ek baar pyaar se baat karen. Bina toke, bina compare kiye. Yakeen karo, aapka ek pyaara jumla uski poori khamoshi tod dega.
Har Maa Baap Ke Naam Ek Paigham:
Khudara apni beti ko samjhen. Uske numberon se zyada uski neend, uski khushi zaroori hai. Use tokein nahi, gale lagayen. Kyunki jo beti ghar me nahi sunni jati, wo poori duniya me khamosh ho jati hai.
---









Comments 0
Sign in to join the conversation.
No comments yet. Be the first to say something.