Assalamualaikum
Mera naam ayit hai. Mere Abu ek former thay.
Meri article likhne ka sirf ek maqsad hai ke log meri kahani ko parhen, us se kuch seekhen aur apne bachon ko bhi sikhayen.
Aap mujhe batayen ke ek gareeb bachi ko, specially ek larki ko, is duniya me khush rehne ke liye aur is duniya ke logon ka samna karne ke liye kya karna zaroori hai?
Meri point of view se, is duniya me khush rehna ek gareeb bachi ke liye bohot mushkil hai.
Jo aap mera article parh rahe hain, ye article nahi hai. Ye ek udaas zindagi hai, ek anjaan larki ki. Aur jo aap title me ye vegetable dekh rahe hain, is ka bhi meri zindagi se gehra taluq hai. Maine is liye emoji nahi rakha, is ke peeche bhi ek kahani hai. Aap meri story ko akhir tak parhen aur mera sath den. To start karti hun.
Meri zindagi me aur meri khushiyon me mere Baba ka aur mere Dada ka haath hai. Unhen hamesha se beti nahi, beta chahiye tha. Isi unki soch ka aur un ke beti ki chahat ka meri zindagi aur mujh par asar hua. To main aap ko tafseel se sari story batati hun. Start mere Dada se karti hun.
Un ka naam Darya Khan tha. Unhe hamesha se beti ka bohot shauq tha, aur is wajah se un ko 5 betay aur 4 betiyan huin. Par wo betiyon se khush nahi thay. Un ka kehna tha ke betiyon par hum itna kharcha karen aur khilayen pilayen, us ka kharcha den, aur akhir me wo shadi kar ke chali jati hain. Aur jo hum ne us par mehnat ki, wo fazool zaya ho gaya.
Betiya paida hone par wo rote thay aur 2 din ghar ka khana nahi khate thay. Aur dosri aurton ke ghar me rehte thay. Ek ya do din ke baad wapis ghar aate thay.
Ek din un ki beti bimar hui, par unhon ne, matlab mere Dada ne, us ka ilaj nahi karaya aur wo mar gayi. Aisi hi ek dosri bachi bhi bimar hui, us ko dast lage to unhon ne kaha ke main is ko kahan dikhaun, mujhe to hospital ka rasta nahi lagta. Kyun ke us daur me hospital bohot door hota tha aur un ko tange par sawari karna parta tha.
To unhon ne apni biwi ko kaha ke jo maine tablet apni bachi ke liye laya tha na, wohi tablet is ko de do. Aur unhon ne us bachi ko de diya. Shayad wo kuch zyada hi garam thi, jis ki wajah se wo bachi mar gayi. Aur un logon ko us ka kuch bhi afsos nahi hua. Mujhe lag raha hai ke mere Dada dil me hi khush hote honge ke 2 betiyon se jaan chhoot gayi.
Zulm Ki Shuruaat
Aur wo mere Dada apne 5 beton ko parhate likhate the, aur betiyon ko ghar me chhor kar beton ko le kar school chale jate the.
Aise hi waqt guzarta gaya aur wo 2 bachiyan bari ho gayin, 16 aur 17 saal ki ho gayin. Us ki beti bhi barhi ho gayi. Us ke baad un ke ghar me ek waqia hua. Us ki 2nd beti ne ek waderay ke bete ko utha kar chupke shadi kar li. Aur ye ek bara gunah tha us daur me.
Us ke baad waderon ne faisla rakha, aur us faisle me meri parh Dada ki beti ko doosre waderon ko dene ka faisla kar diya. Aur kuch din ke baad ruksat kar ke bhej diya.
Par mujhe ek baat samajh nahi aayi ke galti beti ne ki aur us ki galti ki saza betiyon ko mili.
Aakhri Din
Aur waqt guzarta gaya aur meri parh Dada ki beti ko ruksat karwa diya. Us ke baad us par zulm karti thin. Us ko bohot marti peetti thin wo log. Us ke sasural wale us par zulm karte the, usi ko marti peetti thin aur usi ko kuch bhi nahi le kar dete the, aur na hi waqt par khana. Usi ko 2 din bhi bhooka rakha jata tha.

Aur aise hi waqt guzarta gaya aur wo bimar ho gayi. Usi ko brain tumor ho gaya aur wo guzar gayi.

Aur wo beti jo guzar gayi, sochti hogi ke us ka is duniya me koi bhi nahi hai, kyun ke na us ke upar baap ka saya tha, na husband ka, na sasural walon ka.
Aur yahan us namuroom larki ki kahani khatam ho gayi.
Ye sab mujhe apni phupho ne bataya aur ye sunte sunte mujhe rona bhi aa raha tha. Wahan par maine apni phupho se ek sawal poocha ke us ke behan ki galti ki wajah se is par kitna zulm hua aur kisi ne kuch bhi nahi kaha. Kiya us time ke logon ke paas dimagh nahi tha, kiya ke wo sahi aur ghalat ka farq kar sakein.
To mujhe phupho ne jawab diya ke us time beton se log zyada pyar karte the aur betiyon se aur un ke baap se nafrat. Us daur me jis ke paas zyada beta hota tha to sari gaon wali usi ko bohot izzat deti thi, aur us se darti thi, aur us ka rob poori gaon me hota tha. Aur us beton ke baap se koi sar utha kar baat bhi nahi karta tha.
Aur betiyon ke baap ka us gaon me koi bhi respect nahi karta tha, aur usi ko taane dete the ke 4, 5 betiyon ko kahan karo gi, hamari ghar me kaam karo aur paise kamao taake is betiyon ko dahej bhi to dena hai tumhi ko. Aur is tarah ki baatein un sari doston ke beech me kaha jata tha, aur wo sharminda ho kar ghar aa kar betiyon par zulm karti thi.
Aur betiyan bechari chup kar ke us zulm ko bardasht karti thin, aur wo kiya karti, wo kuch bhi to nahi kar sakti thi.
Aur aaj main apni kahani yahan par khatam karti hon, aur is ka next part baad me likhon gi. Mujhe abhi study bhi karni hai.
Khuda Hafiz









Comments 0
Sign in to join the conversation.
No comments yet. Be the first to say something.