Kabi ek chota sa bacha rota ha, zid karta ha yan ghar ke kaamon ke darmiyan apne walidain ki tawajo chahta ha. Use chup karane ke liye uske hath me mobile de diya jata ha. Screen par chalti rang birangi tasveerain, cartoon aur awazain uski tawajo apni taraf kheench leti hain. Bacha khamosh ho jata ha aur barhon ko apne kaam karne ka mauqa mil jata ha.
Shuru me ye ek choti si sahulat lagti ha. Kisi ko andaza nahi hota ke ye choti si sahulat age chal kar bache ki adat, uski pasand, uske waqt aur uski soch ka kitna barha hissa ban sakti ha.
Waqt guzarta ha. Bacha barha hota ha, uski samaj barhti ha aur mobile ki screen par nazar ane wali duniya bi uske liye badalti rehti ha. Jo device kabi use khana khilate waqt diya jata tha, ab wo uski tafreeh, taleem, dosti, guftagu aur kabi kabi uske raaz rakhne ki jaga ban jata ha.
Lekin is badalti hui duniya me ek sawal apni jagah maujood rehta ha:
Jab bacha chota tha, hum uske hath me mobile de rahe the. Jab wo bara hua, to kya humne uski mobile ki duniya ko samajne ki koshish bi ki?
Bachpan Ka Pehla Screen Se Rishta
Bachpan wo umar hoti ha jab bacha apne as paas ki duniya ko dekh kar seekhta ha. Wo chehron ko pehchanta ha, awazon ko samajta ha, sawal karta ha aur apne tajurbon se cheezon ke maani seekhta ha.
Lekin jab har choti si zid ka jawab mobile ban jaye, har khamoshi ka hal screen ho aur har bore hone ka ilaj video, to bacha dheere dheere apne as paas ke logon aur mahol se kam aur screen se zyada wabasta hone lagta ha.
Yahan sawal mobile ke wajud ka nahi, uske istemal ke tareeqe ka ha.
Mobile par taleemi videos, kahaniyan aur creative activities bachon ke liye mufeed ho sakti hain. Lekin screen kisi maa ki guftagu, baap ki tawajo, ghar walon ke saath khelne yan apne mahol ko samajne ka mukammal badal nahi ban sakti.
Bache ko sirf khamosh karna zaroori nahi. Uski baat sunna, uske sawalon ka jawab dena aur uske saath waqt guzarna bi zaroori ha.
Jab Mobile Aadat Se Zarurat Ban Jata Ha
Phir wo waqt ata ha jab bacha school jana shuru karta ha. Uske dost mobile games ka zikr karte hain, wo naye cartoons aur videos dekhta ha, aur dheere dheere uski apni pasand banne lagti ha.
Ab mobile sirf walidain ki sahulat nahi rehta. Bacha khud use mangta ha. Kabhi homework ke naam par, kabi game ke liye aur kabi kisi dost se baat karne ke liye.

Walidain bi samajhte hain ke zamana badal gya ha. Taleem, maloomat aur rabtay ke liye technology zaroori ha. Ye baat durust ha. Lekin zarurat aur be-had istemal ke darmiyan ek farq hota ha, jise samajna bi utna hi zaroori ha.
Kya humne kabi dekha ke bacha mobile band karne par kis taran react karta ha? Kya uski neend, parhai, khelne ka waqt yan ghar walon se guftagu mutasir ho rahi ha? Kya wo apni pareshaniyan ab ghar walon ke bajaye online logon ke saath share karta ha?
Ye sawalat bache ko bura yan na-farman qarar dene ke liye nahi, balke uski zaruriyat samajne ke liye hain.
Ek Nayi Umar, Ek Nayi Duniya
Jab bacha teenage ki dehleez par qadam rakhta ha, to uski duniya me kai tabdeeliyan ati hain. Wo apni alag pehchan banana chahta ha. Use dosti, qabooliyat, apni khubsurti, apni salahiyaton aur dusron ki rai ki fikr hone lagti ha.
Isi umar me social media uske liye sirf videos dekhne ki jaga nahi rehta. Wo apni tasveerein share karta ha, naye logon se milta ha, comments par tawajo deta ha aur dusron ki zindagi ko apni zindagi se compare karne lagta ha.
Kabi kisi ki tasveer par milne wale likes uski khushi ban jate hain. Kabi kisi ka mazaq uske dil par bojh ban kar reh jata ha. Kabi online dosti itni gehri mehsoos hoti ha ke bacha apne ghar walon se zyada kisi anjan shakhs par bharosa karne lagta ha.
Aur kabhi usi screen ke peeche koi esa shakhs hota ha jo uski masoomiyat, tanhai yan bharose ka faida uthana chahta ha.
Sab se pareshan-kun baat ye ha ke digital duniya me har khatra kisi anjan chehre se nahi ata.
Ye Sirf Andesha Nahi, Hamare Muashray Ki Haqeeqat Bi Ha
UNICEF, ECPAT International aur INTERPOL ki September 2026 me jari ki gyi report Disrupting Harm in Pakistan ne hamare samne ek sanjeeda haqeeqat rakhi ha.
Report ke mutabiq, Pakistan me internet istemal karne wale 12 se 17 saal ke bachon me taqreeban har 16 me se ek bacha pichle ek saal me technology ke zariye sexual exploitation yan abuse ki kisi surat ka samna kar chuka tha. Ye taqreeban 15 lakh bachon ke barabar ha.

Report me ye bi samne aya ke darj kiye gye 85% waqyat me mulzim koi esa shakhs tha jise bacha pehle se janta tha. Mutasira bachon me adhe se zyada ne apna tajurba kisi ko nahi bataya aur survey me kisi ne bi formal authorities se madad hasil karne ki report nahi ki.
Iska matlab ye ha ke hifazat ka masla sirf anjan logon se bachne ka nahi. Kabi bharose ke daire me maujood log bi khatra ban sakte hain. Aur kabi bacha is dar se khamosh rehta ha ke sach batane par use hi daant, pabandi yan ilzaam ka samna karna padega.
Ye malumaat hume darane ke liye nahi, jagane ke liye hain.
Jab Bacha Apne Walidain Se Baat Chupane Lage
Har bacha apni pareshani ek hi taran bayan nahi karta. Kuch bache foran bata dete hain ke kisi ne unain pareshan kiya ha. Kuch khamosh ho jate hain. Kuch apna mobile chupane lagte hain, kuch achanak kisi se baat karna band kar dete hain aur kuch ghair mamooli ghabrahat yan chirchirapan dikhane lagte hain.
Lekin ye bi zaroori ha ke har tabdeeli ko online abuse ka saboot na samja jaye. Bachon ki umar, school, dosti aur jazbaat se mutaliq kai dusri wajahen bi ho sakti hain.
Asal baat ye ha ke walidain apne bachon ke rawaiye ko samajne ki koshish karain aur unke liye esa mahol banayain jahan wo bina dare apni baat keh saken.

Sochain, agar koi bacha kisi online shakhs ke haathon pareshan ho jaye aur use ye khauf ho ke ghar walay mobile cheen lenge, uski badnami hogi ya use hi galat samja jayega, to wo madad mangne ke bajaye khamosh rehna pasand kar sakta ha.
Is liye bachay ko sirf ye kehna kafi nahi ke kisi anjan se baat mat karna. Use ye yaqeen dilana bi zaroori ha ke agar kabi koi galat baat ho, koi dhamki de, tasveer maange yan usay pareshan kare, to wo bina dare apne walidain ko bata sakta ha.
Bachay ko hifazat ka tareeqa sikhane se pehle use ye yaqeen dilana zaroori hai ke uski baat suni jayegi.
Sirf Nigrani Nahi, Bharosa Bi Zaruri Ha
Kuch walidain samahte hain ke bache ka mobile check karna hi uski hifazat ha. Kuch dusre bilkul tawajo nahi dete aur samajte hain ke bacha apni umar ke mutabiq khud samaj jayega.
Dono rawaiyon me tawazun ki zarurat ha.
Chote bachon ke liye umar ke mutabiq content, shared family spaces me device ka istemal aur walidain ki maujoodgi ehem ha. Barhe bachon aur teenagers ke saath digital boundaries par khuli guftagu, privacy settings aur online dosti ke hawale se rehnumai zaruri ha.
Bachon ko samjaya jaye ke apna address, school ka naam, live location, passwords yan zaati maloomat har kisi ke saath share nahi karni chahiye. Kisi online shakhs se akele milne nahi jana chahiye. Kisi ki dhamki, blackmail yan na-munasib darkhwast ka samna ho to usay chup kar bardasht nahi karna chahiye.
Parents ko bi apni digital adaton par nazar dalni hogi. Agar ghar ke bare har waqt mobile me masruf hon, to bache se screen kam karne ka mutalba kitna asar rakhega?
Bachon ko sirf hidayat nahi, misaal bi chahiye.
Agar Bache Ke Saath Online Kuch Galat Ho Jaye
Sab se pehle uski baat sukoon se sunain. Use foran kasurwar na thehrayain aur na hi us par cheekhain. Agar kisi ne dhamki di ha, blackmail kiya ha yan zaati tasveeron ke zariye dabao dala ha, to bache ko ye na kahain ke uski galti thi.
Use yaqeen dilayain ke wo akela nahi aur ap uski madad karenge.
Jahan zaruri ho, paighamaat aur account ki maloomat ko mehfooz rakhain, mutaliqa platform par report aur block karain, aur munasib child-protection yan cybercrime support se rabta karain. Bache ko dobara dobara waqya suna kar pareshan na karain; uski privacy aur izzat ka khayal rakhain.

UNICEF aur PTA ki rehnumai par mabni Safeguarding Your Child in the Digital Age guide me parents ko privacy settings, parental controls aur bachon ke sath bharosemand rabte ki ehmiyat samjayi gyi ha. Guide me child-protection mashware ke liye 1121 ka number bi diya gya ha.
Mobile Cheenna Hal Nahi, Rehnumai Dena Zaruri Ha
Har masle ka hal mobile cheen lena nahi hota. Isi taran har sahulat ke naam par bache ko be-had azadi de dena bi durust nahi.
Hume bache ki umar, samaj aur zaruriyat ke mutabiq hudood tay karni hongi. Screen-free family time, khane ke waqt mobile se doori, sone se pehle pur-sukoon routine, ghar ke andar khel aur kitabon se dosti—ye choti hhoti adatain bache ki zindagi me tawazun paida kar sakti hain.
Sab se ehem baat ye ha ke bache ko itna bharosa diya jaye ke wo apni khushi, pareshani aur galti—teenon ke sath apne walidain ke paas a sake.
Hum use duniya se kaat kar mehfooz nahi bana sakte. Hume use duniya ko samajna, khatre pehchanna aur zaroorat par madad mangna sikhana hoga.
Akhir Zimmedari Kis Ki Ha?
Aj hum apne bachon ke hath me mobile de rahe hain. Kal wo isi mobile ke zariye duniya se rabta karenge, taleem hasil karenge, apne khwab pure karenge aur apni pehchan banayenge.
Technology unke mustaqbil ka hissa ha. Is se bhagna hal nahi. Lekin unain bina rehnumai ke is duniya ke hawale kar dena bi koi samajdari nahi.
Ek bacha jab pehli bar mobile pakarta ha, to use sirf screen nazar ati ha. Use nahi pata hota ke us screen ke dusri taraf kon ha, konsa content uske liye munasib ha aur kis waqt kisi se door rehna zaruri ha.
Ye samaj use humne deni ha.
Uski har online harkat par shak karna bi theek nahi, aur uski har baat se be-khabar rehna bi nahi. Hume esa rishta banana ha jahan nigrani ke sath mohabat, hudood ke sath bharosa aur azadi ke sath rehnumai maujud ho.
Kunke bachpan me diya gya mobile shayad kuch lamhon ke liye hume sukoon de de, lekin uske zariye bache ki zindagi me khulne wali duniya ki zimmedari se hum bari nahi ho jate.
Akhir ek sawal hum sab ke liye ha:
Jab hum apne bachon ko mobile istemal karna sikha sakte hain, to unain us duniya me mehfooz rehna kun nahi sikha sakte?
Bachon ke hath me mobile hona waqt ki zarurat ho sakti ha, lekin unki hifazat sirf ek device, ek password yan ek parental-control setting ki zimmedari nahi. Ye ghar, school, muashre, digital platforms aur hukumati idaron sab ki mushtarka zimmedari ha.
Aur is zimmedari ka pehla qadam hamare apne ghar se shuru hota ha.
Makhaz aur Mazeed Rehnumai
-
UNICEF Pakistan: Disrupting Harm in Pakistan — September 2026
-
PTA, UNICEF, NCRC aur Telenor: Safeguarding Your Child in the Digital Age
— Rooh Ki Awaz









Comments 0
Sign in to join the conversation.
No comments yet. Be the first to say something.