Zindagi ko samjhne ka safar!
Mai hamesha se sochti thi ky zindagi to bohat asan hai jase ap kisi khashti mai sawar ho or kashti chalany waly nai apko sab dikhana hai or vo sab sahi hoga! Beshak hum is zindagi ki kashti mai apne KHAILIQ ky bharose hein!
Mere zehan mai aksar ye baat ati thi ky agr ap khud khush rehna janty ho to apko kisi ki zarorat nahi! Jase kabi mehsus hi ni hua k ap se juray log jo apki zindagi mai hein vo ap pr kitna Asar rakhty hein!
Mai zindagi ko or zaviye se dekhti thi jase "Befikari". Ye zindagi guzarny ka aik eham formula tha. Choti umar ki soch gehri nahi thi k soch saku lkin mehsus krna janti thi q k tabiyat se bht hassas dil ki malik thi woh cheezein bhi mehsus krleti thi jo ap kisi ko bayan nahi kr paty jo ap apne ander rakhty ho lkin kabi bol dena un baaton ko sochy bagair. Insan agr wqt k sath apne ehsasat apni soch or zindagi ko dekhne ka tareeqa zahir na kry to ap aik din tanha mehsus krty ho ap janty hi nahi ap kase bolein gy vo baatein jo apne kabi ki hi nahi thi.

Waqt har cheez ki dawa hai lkin kuch cheezein rooh tak ko kha jati hein k ap zindagi ki choti choti khushiyan hony k bad b un ki lazzat se mehrun rehty ho. Apki zindagi to rukti nahi aik tez train ki tarhan hai chlty chlty kis station par ruk kr kia dikha de kuch pta hi nahi chlta. Khair zindagi or oske "Rang" !
Baz aukat ap un haqeeqaton ko apni khuli ankhon se dekhte ho jiska samna krne ki himmat nahi hoti lkin zindagi vo sab kuch laa kr apky samny rakh deti hai! Us lamhay mai ap soch nahi skty ap kia kro gy. Kia kabhi qayamat ka samna kia hai? Mai ye nahi keh sakti k maine qayamat ka samna nahi kia! Q ky mere khyal mai qayamat any tak zindagi apko choti choti qayamatein dikhati rehti hai is sab mai sab sai mazy ki baat pata kia hai ? K sab hony k bawajood ap zinda rehty ho! Aise tufan agr har kisi ki zindagi mai hoty hein ti log marty q nahi ? Mai to nahi mari! Hala k har insan apni zindagi mai aise aise mamlaat dekhta hai bardasht krta hai aur oska dill chahta hai vo zameen k nichh chala jaye!
Lkin "Waqt" sab sikha deta hai! Zindagi "Jeena" bhi, Aur zindagi "Guzarna" bhi!

Khamoshi ky pichy chupy jazbaat!
Khamoshi..... is lafz ki zindagi mai jaga nahi hoti jab ap zindagi ko jeena shuru kro. Lkin! Ab is lkin k pichy ap par bht kuch beet gaya hota hai jo apke andr kuch khamosh kr deti hai. Hum aksar khud bhi jan nahi paty hum ne kia seh lia or osky natijay mai humare sath kia hua. Zindagi choti choti cheezon k bht gehre gehre zakham chor jati hai!
Mai aj bhi ye sochti hu to khud par hi hans parti hu kia ye mai hu? Mai ase sochti thi ya mai ab ase sochti hu? Kia kia nahi badal jata apki soch mai waqt k sath! Kia khamoshi tari ho chuki hai wajood mai itni gehri?
Tanhaai! Iska taluq kisse hai apki zaat se ya kisi or ki zaat se? Kuch log apki zindagi mai aty hein rang bharty hein apko unki adat ho jati hai jase insan ko to aik janwar ki adat ho jati hai to insan ki kase nahi or vo b bolne wali makhlooq! Mere khyal mai tanhai ka taluq apki khud ki soch ya shakhsiyat se hota hai kuch log is baat ki bilkul fikar nahi karty apki zindagi mai kon ata hai or kon chala jata hai jase unki zaat se kisi ka taluq nahi hota lkin aksar log logo ko le kar itna hassas hoty hein ky unky na hony se unki apni zaat muqamal nahi hoti hala k koi zaat muqamal nahi lkin kuch log apki zindagi mai aty hein apko muqamal krne jinse mil kr apko zindagi mai khushi mehsus hoti hai! Vo apke dill ka marqaz ban jaty hein jase "Rooh ki ghazah"!
Akelapan Udaasi or ase bht se Mehsus hony waly Ehsaas ap apne andar rakhty hein kisi ko mehsus nahi hony dete q k ap nahi chahty kisi ko b pata chly apke andar kia chal raha hai! Log apko in sab baaton par parakhaty hein vo ye nahi dekhte apne kia seh lia q k unko is baat mai koi dilchasbi nahi sirf ye dekhna hai k ap kase ho kirdar k lehaz se, tarbiyat ke lihaz se, aur mizaaj k lihaz!
Phr jab ap apna aap bacha bacha kr rakhty ho to apne gird aik dewaar bana lete ho wqt ky sath aur os dewaar k paar har koi nahi dekh sakta! Har kisi ki rasai nahi hoti! Sirf un channd logo ki jinko ap apne dill mai khaas muqam dete ho! Akelapan ya khamoshi jase ehsas ase hi insan ky wajood ka hissa nahi banty osky liye apko bohat se gehre sadmat se guzrna prta hai! Lkin zarori nahi ye sab k sath ho! Maine aksar logo ko dekha hai vo bht asani se aise halat se nikal kr theek hojaty hein gehre asraat nahi lete! Jabke kuch log itne gehre asraat lete hein ky unki zindagi or shaksiyat ka hisaa ban jaty bilkul wse hi jase apne aksar hollywood ki movies mai dekha hoga logo ko jab bht gehra sadma pohanchta hai vo ose theek hony k liye apne jisam par aik tattoo banwa lete hein. Kia ap janty hein vo tatto q bnwaty hein? Mai btati hu vo tattoo os yaad ya dukh k hawaly se bnwaty hein osky gham ko jany dene k liye osko bhulny k liye overcome krny k liye ta ky agr unko vo yaad b aye to unko takleef na ho! Isi trhn kuch log kuch rawaiyon ko apni shaksiyat ka hissa bna lete hein unse bht gehra asar le kar.
yahi hai zindagi ! Kabhi kuch khoo jany ka nam to kabhi kuch mil jang ka nam!









Comments 1
Sign in to join the conversation.
Beautifully expressed🌸