Lahore smog
Lahore,jise kabhi Pakistan ka Dil kaha jata tha, jahna ki khushbu , jahna ke khane, jahna ki gailyan aur Jahna ki mohabbat poori duniya me mashhoor thi, aaj wohi, Lahore duniya ka sab se Ganda aur zehrela sheher ban gaya hai. Ye BAAT sunne me bohut dukh wali hai Lekin ye sach hai. Har Saal sardiyan aate hi Lahore ke uper ek moti, Kali aur zehreli Chadar Chha jati hai jise hum smog kehte Hain. Subha job loge Apne Ghar ki khirki kholte hain to unko suraj Nazar nahi aata, unko saaf aasman Nazar nahi aata, balke unko sirf dhunan aur ghutan Nazar aatu hai. 21 November 2026 ko jab logon ne Apne Mobil one AQI check Kiya to sab hairan reh gaye. Lahore ka AQI 260 se bhi uper Chala gaya tha. Duniya ke tamam bare shehron me Lahore ne pehla number hasil kar Liya tha. Matlab is waqt Lahore ki hawa duniya ki sab se Ganda hawa ban gayi hai, ye koi choti BAAT nahi hai. Ye hamari sehat hamre bachon ke mustaqbil aur hanare sheher ki izzat ka sawal hai.
Smog Kya Hoti hai?
Bohot se logon ko ye nahi pata ke smog Hoti keya hai. Smog do lafzon se mil jar bana hai, smoke Matlab dhuan aur dhund aapas me mil jate hain to wo smog ban jati hai. Ye aam dhund ki tarah nahi Hoti . Aam dhund to thori DER me khatam ho jati hai aur us se koi nuqsan nahi hota, Lekin smog bohot zehreli Hoti hai. Is me chote chote zehreelay zarray hite Hain Jo hamari aankhon sa Nazar nahi aate Lekin jab hum saans lete Hain to wo hanare phephron me chale jate Hain aur wagan ja kar hamre phephron ko khrab kar dete Hain. Sardiyon me smog is Liye zeyada banti hai kyunke sardiyon me hawa Thandi aur bhari ho jati hai. Thandi hawa uper nahi uth sakti, is Liye Saara dhund neechi hi reh jata hai aur sheher ke uper Jam jata hai. Garme me hawa garam Hoti hai aur dhund uper Chala jata hai Lekin sardiyon me aisa nahi hota. Isi Liye Lahore me October se lekar February tak smog ka masla sab se zeyda rehta hai.
Lahore me smog itni zeyada kyun hai?
Ab sawal ye hai ke Lahore me hi smog itni zeyada kyun hai, Karachi ya Islamabad me itni kyun nahi? Is ki bohot si wajahain Hain. Pehli aur sab se bari wajah gaariyan Hain . Lahore me ab gaariyon ki tadad had se zeyda barh gaya hai. Har Ghar me 2,2,3_3 gaariyan aur motorcycles Hain. Jab itni saari gaariyan ek Sath road per chalengi to unka dhund bhi to howa me hi jayega. Purani gaariyan aur khrab engine wali gaariyan to aur bhi zeyda dhund chorti Hain. Dusri bari wajah factoryan Hain. Lahore ke aas pass bohot si factoryan Hain. Jin ki chimniyon se din Raat kala dhund nikalta. Rehta hai ye factoryan hawa ko sab se zeyda Ganda Karti Hain. Teesri wajah fasalon ko alag lagana hai. Lahore ke qareeb gaon me kisan jab apni fasal kaat lete Hain to bachi hui fasal ko aag Laga dete Hain. Is aag ka dhund seedha Lahore ki hawa me aa hara hai. India ke Punjab se bhi is trah ka dhund Lahore aata hai kyunke wagan bhi kisan aise hi karte Hain. CHOTI wajha darakhton ka Karna hai. Pehle Lahore ko sheher_e_bagh kaha jata tha kyunke Yahan har taraf darkht hi darakht the. Lekin ab nayi building banane ke Liye Roz darakht kaate ja Rahe Hain. Drarkht hawa ko saaf karte Hain. Jab darakht hi nahi rahengi to hawa saaf kaise Hogi? Panchwin wajha kachra jalana Hain. Lahore ke bohot se ilaqon me log Apne kachra jala dete Hain. Plastic aur kachra jalana se Jo dhund nikalta hai wo sab se zeyda zehrela hota Hain.
Smog se bachne ke asan tareeqe

Ab sab se zarori BAAT, hum is smog se bachein kaise? Yahan main aap ko aise tareeqe Bata Raha hon Jo bilkol asan aur saste Hain aur har Ghar me asani se kite ja sakte Hain.
1, Mask zaroor pehndo.
Jab bhi Ghar se bahir niklo to acha Wala mask zaroor pehno. SADA kapre Wala mask zaroor pehno. SADA kapre Wala mask kam nahi karega. N95 mask sab se best Hain. Agar wo na mile to 2 mask ek Sath pehne lo. Ye tumhare phephron ko 90 zehreli hawa se bacha lega.
2, Subah ke waqt bahir na niklo
Smog subha 6 baje se 10 baje tak sab se zeyada Hoti hai. Is waqt walk ya bachon ko school ke Liye paidal na bhejo. Koshish karo ke 11 baje ke bad hi bhir niklo jab thori dhoop Nikal Aaye aur smog kam ho jaye.
3, Pani aur kehwa zeyda piyo.
Din me kam se kam 10 glass Pani piyo. Subha adrak Wala kehwa piyo. Kehwa gale ki khrash ko khtam karta hai. Aur phephron ko saaf karta hai. Haldi Wala doodh bhi smog ke leyi bohot acha Hain.
4, Ghar ki khirkiyan band rakho.
Jab bahir smog zeyda ho to Ghar ke tamam khirkiyan aur darwazy band rako. Khirkiyan pe geela kapra Rakh do take zehreli hawa Ander na AA sake.
5,Ghar me poday lagao.
Ghar me money, plant, aloe vera aur snake plant zaroor lagao. Ye poday Ghar ki hawa ko saaf karta Hain aur oxygen Deta Hain. Ye poday saste bhi hote Hain aur dekhne me bhi khubsurat lagte Hain .
6, Gaari ke istemal kam karo.
Agar qareeb Jana hai to paidal jao ya cycle chalao. Ek Gaari me 4 log mil kar jao. Is se dhund kam niklega aur petrol bhi bachenge.
7,Kachra kabhi na jalao
Apne mohallay me kis ko bhi kachra ya plastic jalane mat do. Agar koi jalaye to us ko Pyar se samjhao ke is se sab bimar hote Hain.

Akhri BAAT
Lahore hamara sheher hai , hamari pehchan hai . Is ko Ganda hone se bachana hamara farz hai,. Smog se darne ki zaroorat nahi hai, bas ehtiyat karane ki zaroorat hai. Mask pehno Pani piyo, darakht lagao, aur Apne sheher ko saaf rakho.









Comments 0
Sign in to join the conversation.
No comments yet. Be the first to say something.