Article.Pk - Write, Earn, and Be Heard

Aaj rishton mein sincerity kyun khatam hoti ja rahi ha

Rishton ki ahmiyat, rishton ki qadar, rishton ka ehsaas,

Aaj rishton mein sincerity kyun khatam hoti ja rahi ha

Rishte insani zindagi ka sabse khoobsoorat aur qeemti hissa hain. Insaan chahe kitna hi kamyab kyun na ho, agr uski zindagi mein mohabbat karne wale, ehsaas karne wale aur mukhlis log na hon to woh ander se adhoora mehsoos karta ha.

Ek waqt tha jab rishton mein mohabbat,khuloos,bharosa aur ek doosre k liye qurbani dene ka jazba paya jata tha. Log choti choti baaton ko ko nazarandaz karke rishte nibhate thay. Lekin aj kal ke daur mein aisa mehsoos hota ha jaise rishton se sachai aur sincerity ahista ahista khatam hoti ja rahi ha.

Aj log ek doosre ke sath talluq to rakhte hain, lekin un rishton mein pehle jaisi gehrai nazar nahin ati. Baatein bohat hoti hain, lekin ehsaas kam hota hai. Log mohabbat ka izhar to karte hain,lekin mushkil waqt mein sath dene wale bohat kam reh gaye hain.

Aakhir aisa kyun ho raha hai? Kya waqai insaan badal gaya hai ya waqt k sath rishton ki ehmiyat bhi badal gayi hai?

Khudgarzi Ne rishton ko kamzor kar diya hai.

AJ k muashray mein khudgharzi ek aam masla banti ja rahi hai. Bohat se log rishton ko mohabbat or khuloos ki buniyad par nahi, balkay apne faide ke mutabiq nibhate hain.

Jab tak kissi shakhs se koi kaam ya faida hasil ho raha ho, tab tak us k sath acha talluq rakha jata hai. Lekin jaise hi faida khatam hota hai, rawaiye bhi badal jate hain.

Mukhlis rishta woh hota hai jismein insaan doosre shakhs ko uske faide ya nuqsaan ki waja se nahi, balkay uski shakhsiyat aur ehmiyat ki waja se chahta hai.

Social media ne haqeeqi rishton ko mutassir kiya hai.

Social media ne duniya ko qareeb zaroor kar diya hai,lekin kabhi kabhi is ne dilon k darmiyan faaslay bhi barha diye hain.

Log ghanton mobile par doosron ki zindagi dekhte rehte hain, lekin apne qareeb baithe logon ko waqt nahin de sakte.

Aaj birthday par lambe lambe messages bheje jate hain, pictures par mohabbat ka izhar kiya jata hai aur social media par khushgawar rishte dikhaye jate hain, lekin haqeeqi zindagi mein doosre ka haal poochne ki fursat nahin hoti.

Rishton ko sirf online mojoodgi ki nahi balkay haqeeqi waqt, tawajjo aur ehsaas ki zaroorat hoti hai.

Bharosay ki kami rishton ko khatam kar rahi hai.

Kisi bhi mazboot rishte ki buniyad bharosa hota hai. Jab do logon k darmiyan bharosa mojood ho to woh mushkil halaat mein bhi ek doosre ka saath nahi chorte.

Lekin jhoot, dhoka wada khilafi aur batain chupane ki aadat ne rishton mein shak paida ker diya hai.

Jab ek shakhs baar baar doosre ka bharosa torta hai to mohabbat hone ke bawajood dil mein faaslay paida hone lagte hain.

Insaan har baat par sawal karne lagta hai aur ahista ahista talluq apni khoobsoorti kho deta hai.

Yaad rakhain, bharosa hasil karne mein saalon lag jate hain, lekin isay khatam karne ke liye ek second kaafi hota hai.

Bardasht aur sabar ki kami

Pehle lod choti choti baton ko bardasht kar lete that. Ikhtilaf hone ke bawajood ek doosre ki izzat karte thay, aur narazgi k baad dobara baat kerne ki koshish karte thay.

Aj mamooli ikhtilaf bhi kabhi kabhi baray jhagre ki waja ban jata hai.

Log ek doosre ko samajhne k bajaye apni bat manwana chahte hain. Har shakhs chahta hai ke doosre ussay samjhain, lekin khud kisi ko samajhne ki koshish bohat kam karte hain.

Haqeeqat yeh hai k koi bhi insaan mukammal nahi hota. Rishte nibhane k liye sabr k sath, bardasht aur samjhdari ki bhi zaroorat hoti hai.

Zyada umeedon ne mohabbat ko mushkil bana diya hai.

Rishton main umeedain rakhna fitri baat hai, lekin jab umeedain zaroorat se zyada barh jayen to yehi mohabbat ke liye bojh ban jati hain.

Kuch log chahte hain k doosra shakhs har waqt unke liye mojood ho, har baat samjhe aur hamesha unki marzi ke mutabiq chale.

Jab aisa nahin hota to shikayatein aur narazgiyan shuru ho jati hain.

Humain samjhna chahiye ke har insaan ki apni masroofiyat, pareshaniyan aur jazbaat hote hain. Kissi se mohabbat karne ka matlab yeh nahi ke usse har waqt apni umeedain poori karwayen.

Matlab parasti ne khuloos ko peechay chor diya hai.

Aj bohat se talluqat mein yeh dekha jata hai ke log sirf achay waqt ke saathi hote hain.

Jab zindagi mein khushiyan hon, paisa ho ya kamyabi ho sab sath mein nazar atay hain, lekin jab mushkil waqt ata hai to aksar log door ho jate hain.

Haqeeqi mukhlis insaan woh hota hai jo aap k mushkil waqt mein bhi aap ka saath de. Usay aapki kamyabi se zyada aapki khushi aur sakoon azeez hota hai.

Khuloos ki pehchan khoobsoorat alfaz se nahin, balkay mushkil waqt mein kiye gaye amal se hoti hai.

Jazbaat ka izhaar kam hota ja raha hai

Bohat se log apne jazbaat apne dil mein rakhte hain. Unhain mohabbat hoti hai lekin wou izhaar nahi karte. Rishton mein izhaar bohat zaroori hai. Kabhi kabhi ek chota sa message, ek Phone call ya mohabbat bhara jumla kissi k chehre par muskurahat la sakta hai.

Sirf dil mein mohabbat rakhne se rishte mazboot nahi hote, balkay us mohabbat ko apne rawaiye aur alfaz se zahir karna parta hai.

Rishton mein sachai aur khuloos wapis kaise laya ja sakta hai?

Agar hum chahte hain ke humare rishton mein sachai aur khuloos paida ho to humain apni zaat se tabdeeli shuru karni ho gi.

Ek doosre ke saath hamesha sach bolain

Choti choti baton par rishte khatam karne ke bajaye baat cheet karein.

Mushkil waqt mein apne pyaron ka saath dein.

Ek doosre ki izzat aur jazbaat ka khyal rakhein.

Zaroorat se zyada umeedain rakhne se guraiz Karen.

Doosron ki ghaltiyon ko samajhne aur unhain maaf karne ki koshish karen.

Rishton ko sirf alfaaz se nahin balkay apne amal se ehmiyat dain.

Sab se zaroori baat yeh hai ke doosron ke saath wohi rawaiya rakhein jiski umeed khud aap doosron se karte hain.

Conclusion

Aj rishton mein sachai aur khuloos ki kami ki ek bari wajah humari badalti hui soch, khudghazi, bardasht ki kami aur sabar ka khatam hona hai.

Hum ache rishte to chahte hain lekin unhein nibhane ke liye zaroori koshish nahi karte.

A
Written by
@apijan · 2 articles · Joined Nov 2026

I am a good writter I can write best for u. I write interested topic for u

Comments 0

Sign in to join the conversation.

No comments yet. Be the first to say something.

Keep reading