Wahid Kon ?
Kuch batain is dunya main raz rakhi gai or kuch ko zahir kar dia gya . Wahid Kon ? Aik sawal hi nhi Islam ki haqeeqat chupi ha is main . Allah , Allah ha wo wahid jis ka koi dusra nhi
(Aa nabi (saw) farma dijiya k wo Allah aik ha ) Surah alikhlas 1
Puri kainat Allah k wahid or kamil honay ki qawahi dati ha . Aik whi to ha Jo sayah rat main sayah pathar pay chalnay wali sayah chunti ka bhi ilm rakhta ha . Kia esi zat ko ksi dosray ki zarort ho sakti ha ?
(Koi pta nhi girta magar Allah us ko janta ha or Zameen ki koi tareekion main koi Dana nhi magar us k ilm main ha surah alin'am 59
Allah to noor ha Jo asmano pay chaya ha jis nay Zameen ko munawar kar dala jis nay logon ko hadayat ki Roshni day Dali . Or Noor to khubsurat hota ha na is nay apni khubsurati say is Jahan ko khubsurat bna Dala . To kia ksi Noor ko roshan honay k lia ksi dusray Noor ki zarort hui ha . Ksi khubsurat ko khubsurat dikhnay k lia ksi dosray ki zarort hui ha? Nhi na.
(Allah asmano or Zameeno ka Noor ha is k Noor ki misal esi ha jasay aik taak main chiragh rakha ho ) surah Noor 35

Lakin hum ksi ko kasay yakeen dilain Jo Allah ko manta hi na ho ha Jo Allah ki wahdaniyat pay yakeen hi na rakhta ho hum in ko in hi ki baton sag samjha saktay hain in hi ki kitabon say akhir wo bhi to Islam ki bunyad pay hi paida hua or un Kay Dil main bhi Khuda basta ha agar un k Dil pay muhar na lagi hui or hadayat un ka muqadar hui to unhain zaroor milay gi . Or Jo wahid ho usay ksi ko maaf marnay hadayat danay k lia ksi dosray ki kia zarort?
(Noor pay Noor Allah apnay noor ki taraf jisay chahta ha rahnumai dayta ha ). Surah Noor 35
Kab ksi mulk main do sadar nhi ho saktay jab ksi khitay main 2 badshah nhi ho saktay jab ksi Jang main 2 fataih nhi ho saktay to aik hi dunya aik hi kainat k Kai Khuda kasay ho saktay hain ? Nhi ho saktay na kuon k agar ksi mulk main aik say zyada sadar hotay to faislon main takheer Hoti aik say zyada badshah honay ki surat main mulk bat jay ga to kia aik say zyada Khuda honay ki surat main kainat main intishar na hota hota na . To kia ho sakta ha is wahid ka dusra Jo is kainat ko puri kamliyat say chalanay ki salahiyat rakhta ho
(Agar asmano or Zameeno main Allah k Siwa or mabood hotay to dono tabah ho jatay ) Surah anbiya

Lakin kufar or mushrik Jo zid or a'and or lailmi ki wajah sy hi ho nay Quran jasi Azeem kitab Jo tamam bani nuh insan k lia nazil ki gai ho hath hi na lagaya ho to agar hum inhay samjhanay k lia inhi ki kitabon ka mutalia kary , to in ki darja awal ki kiatb شروتی Mani jati ha jisay wi sab say Azeem samajhtay hai. Is kitab ka mutalia kia kia jay to maloom ho ga k jsay wo sab say awal qarar daytay Hain wo to khud Khuda k awal honay ka iqrar Karti ha
Khuda aik ha bina ksi dusray k shuruti bab 1 section 2 pahli ayat
Agar in ki duri kitab jinhay wo Azeem samajhtay Hain Jin main sarfahrist shvetashvatra upnished or yajurvedha jasi kitabain shamil Hain ka mutalia karain to humain rsi hi batain milay gi Jo in Kay nazaryat in k a'amal kay khilaf ho jasay k wo log Jo man gharat kahaniyan bna k Khuda ko Allah ko ksi ka beta qarar dyta Hain un ki hi kitab main likha ha
Us Khuda say bara koi khud nhi is kay koi waldain nhi shvetashvatra upnished bab 6 verse 9
Or in ki yhi kitab Khuda ki ksi qisam ki koi tasweer, koi surat , shakal ya but ko manay say Inkar Karti ha saf tor par mana
Is Khuda ki koi tasweer nhi koi paraitma nhi shvetashvatra upnished bab 4 version 19

Or in ki aik or kitab yajurvedha bhi isi bat ki tasdeek Karti ha isi bat ko apnay andar samay hua ha un Kay nazaryat ko khukhla qarar dyti ha
Us Khuda ki koi tasweer nhi koi painting nhi yajurvedha bab 32 verse 3
Or ki yhi kitab in logon ko andhyry Mai or gumrahi Mai or badqismat qarar dyti ha Jo log ghair fitri chizain jasay suraj Chand waghira ko pujtay or Jo but waghira ko pujtay Hain
Wo log andhiri Kal main Hain Jo sabuti ki ibadat kartay Hain Yajurvedha bab 40
Yha sabuti say Murad ghair fitri chizain Hain aik or jagha but or hath say bani hui chzon ka zikar kartay hua isi kitab main likha ha k
Wo log andhiri Kal main Hain Jo sunbuti ki ibadat kartay Hain
Yha sunbuti say Murad hath say bani chizain Hain yaini but murti waghira
Lakin ya log phir bhi apnay ap ko andhyry Mai dhakail rhay Hain apnay bap dada ki andhi taqleed main paray Hain or gumrahi k rastay main Hain or apnay ap pay apni ani wali naslo pay zulm kar rhay hain k in k pass jab jab bhi Haq aya inhon nay Inkar kia or Sach pay iman lanay k bajay Haq k dushman banay in ka shumar un logon main say ha Jin k agay Haq tha lakin inhon nay Inkar kia
Allah nay muhar Laga di ha in k dilon par in Kay Kano par or in ankho par parda bicha ha or k lia bara azab ha surah baqarah
Lakin phir bhi Allah nay un ka rizq nhi roka un say apni naimat nhi hatai balkay un k naik Amal ka badla unhaindu ya main day dia kuon k wo ghiratmand ha wo Raheem ha Kareem ha
Pus Tum apnay rab ki Kon Kon si naimaton ko jhutlao gay Surah Rehman
Khatam shud
Anaya nadeem









Comments 0
Sign in to join the conversation.
No comments yet. Be the first to say something.