Mere gaaon ki subah
Mera gaaon meri pehchan hai. Sheher me kitni bhi roshni ho, lekin jo sakoon gaaon ki sham me hai wo kahin nahi.
Subah jab azan ki awaz par ankh khulti hai to parindon ki chahchahat dil ko khush kar deti hai. Kheton me thandi hawa, sabz faslain aur khula aasman dekh kar dil kehta hai ke asal zindagi to yahin hai.
Gaaon ke logon me jo mohabbat hai wo sheher me nahi milti. Yahan sab ek doosre ko jante hain. Kisi ke ghar me khushi ho to poora gaaon khush hota hai, aur gham ho to sab saath khare hote hain.
Bachpan ki yaadein
Bachpan ki yaadein to sab se zyada gaaon se hi judi hain. Nehar par nahana, sham ko doston ke saath khelna, aur dadi amma ki kahaniyan sunna, ye sab yaadein aaj bhi dil me taza hain.
Gaaon ki zindagi saada zaroor hai. lekin isi saadgi me asli khushi hai. Yahan logon ke paas bara paisa nahi hota, lekin dil bohat bare hote hain.
Mera gaaon sirf ek jagah nahi, ye meri pehchan hai Gaaon ki subah sheher ki subah se bilkul alag hoti hai. Yahan subah alarm ki awaz se nahi, balkay murghay ki baang aur masjid ki azan se shuru hoti hai.
Jaise hi sooraj nikalta hai, kheton me kaam shuru ho jata hai. Kisan apne bailon aur tractor ke saath khet ki taraf nikal parte hain.
Aurtein ghar ka kaam, doodh nikalna, nashta banana aur bachon ko school bhejne me lag jati hain.
Bachay khush khush apne doston ke saath paedal school jate hain, raste me haste khelte aur baatein karte hain.
Gaaon ki sab se bari khubsurti wahan ka khula mahol hai. Na oonchi oonchi imartein, na gaariyon ka shor, na dhuaan.
Har taraf sabz khet, darakht aur khula aasman nazar aata hai.
Garmiyon me darakhton ke neeche baith kar thandi hawa lena aur sardiyon me dhoop me baith kar gupshup lagana, ye maza sheher ke bare bare gharon me bhi nahi milta.
Gaaon me rishtedari aur mohabbat bohat gehri hoti hai. Yahan agar kisi ke ghar mehmaan aa jaye to poora mohalla uski khatir karta hai.
Koi bimaar ho jaye to sab uska haal poochne aate hain. Shadi ho ya koi khushi ka moka, sab mil kar kaam karte hain.
Koi ek aadmi akela kaam nahi karta, sab uska saath dete hain. Yehi ekta aur bhai chara gaaon ki asal taqat hai.
Mere gaaon me ek purani masjid hai, jahan sab log mil kar namaz parhte hain.
Eid ke din to poora gaaon ek jaisa lagta hai. Sab naye kapre pehen kar ek doosre ko gale milte hain, aur bachay eidi le kar khush hote hain.
Is din jo khushi hoti Gaaon ki sham ka manzar to sab se zyada khubsurat hota hai. Jab sooraj doobne lagta hai to aasman lal aur sunheri ho jata hai.
Kisan khet se wapas aate hain, bachay khel kar ghar aate hain, aur bare buzurg chaupal par baith kar din bhar ki baatein karte hain.
Chaye ka cup aur doston ki gupshup, yehi gaaon ki sham ki pehchan hai.Gaaon ke khane ka zaiqa bhi alag hi hota hai.
Taza doodh, desi ghee, makhan, saag aur makai ki roti, ye sab cheezein sheher me paisa de kar bhi waisi nahi miltin. Yahan sab kuch taza aur khalis hota hai.
Ghar ki murgi ka anda, khet ki sabzi aur kunwein ka thanda pani, in sab ka apna hi maza hai.
Lekin gaaon ki zindagi me kuch mushkilat bhi hain. Kabhi bijli chali jati hai, kabhi gas ka masla ho jata hai, aur achay hospital aur school door hote hain.
Barish ke mosam me raste kharab ho jate hain. Phir bhi gaaon ke log himmat nahi harte.
Wo mehnat se har mushkil ka samna karte hain. Unke chehron par hamesha muskurahat rehti hai, chahe halaat jaise bhi hon.
Mujhe jab bhi sheher me thakan ya pareshani hoti hai, me apne gaaon ko yaad karta hun.
Wahan ki mitti ki khushboo, maa ke haath ka khana, aur doston ki hasi, sab yaad aa jata hai.
Gaaon jana mere liye aisa hai jaise battery dobara charge ho jati. Aaj kal gaaon bhi badal rahe hain.
Pehle jahan kachi galiyan hotin, ab wahan pakki sarkain ban gayi hain.
Mobile aur internet ne gaaon ko sheher se jor diya hai. Gaaon ke bachay bhi ab mobile par parhte hain aur duniya ki khabrain dekhte hain.
Lekin achi baat ye hai ke badlav ke baad bhi gaaon ki mohabbat aur saadgi khatam nahi hui.
Mera khwab hai ke mera gaaon aur taraqqi kare. Wahan acha school ho, acha hospital ho, saaf pani ho aur bachon ke liye khel ka maidan ho.
Taake gaaon ke bachon ko parhne ke liye sheher na jana pare, balkay wo apne hi gaaon me parh kar bara naam kamayen.
Aksar log kehte hain ke sheher me paisa hai, sukh hai, lekin me kehta hun ke sukh paisay me nahi, sukoon me hai.
Aur sukoon mujhe apne gaaon me milta hai. Jahan log ek doosre ka khayal rakhte hain, jahan darwaze band nahi hote, jahan dil khule hote hain.
Agar mujhe duniya ki kisi bhi jagah rehne ka moka mile to bhi me apna gaaon hi chununga. Kyun ke gaaon meri jar hai, meri bunyad hai.
Sheher me me mehmaan hun, lekin gaaon me me apne ghar me hun.Aakhir me me yehi kahunga ke apne gaaon se mohabbat karo, uski izzat karo.
Jo apni mitti se mohabbat nahi karta, wo kabhi kamyab nahi hota. Mera gaaon, meri pehchan, meri shaan hai, aur hamesha rahe ga.
Mujhe apne gaaon par fakhar hai. Jab bhi koi mujh se poochta hai ke tum kahan se ho, to me seenah chaura kar ke kehta hun ke me gaaon se hun.
Kyun ke gaaon ke log sache, mehnati aur wafadar hote hain. Allah kare mera gaaon hamesha abaad rahe, wahan khushhali aaye aur log isi tarah mohabbat se rahein.
Ameen. Gaaon ki yaadein hamesha dil me rehti hain. Chahe me kahin bhi chala jaun, mera dil hamesha apne gaaon me hi rehta hai.


Mere gaaon ki subah
Mera gaaon meri pehchan hai. Yahan ki subah bohat khubsurat hoti hai.
Jab suraj nikalta hai to kheton me roshni phel jati hai aur parindon ki awaz pure gaaon me goonjti hai.
Log subah sawere apne kheton ki taraf nikal jate hain.Gaaon ke log bohat mohabbat karne wale hain.
Yahan sab ek dusre ko jante hain, dukh sukh me saath khare hote hain. Kisi ke ghar me shadi ho to pura gaaon khush hota hai, aur kisi ko takleef ho to sab madad ke liye aa jate hain.
Yehi mohabbat sheher me nahi milti.Mera bachpan isi gaaon me guzra hai.
Kheton me khelna, nehar par doston ke saath bethna, aur shaam ko dadi ki kahaniyan sunna, ye sab yaadein aaj bhi mere dil me zinda hain.
Jab bhi me sheher se thak kar wapas aata hun, gaaon ki mitti ki khushboo mujhe sukoon deti hai.
Mera gaaon sirf ek jagah nahi, meri zindagi hai. Allah kare mera gaaon hamesha aise hi khush aur abaad rahe.









Comments 0
Sign in to join the conversation.
No comments yet. Be the first to say something.